azal se apne hi hone ke intizar mein hun
azal se apne hī hone ke intizār meñ huuñ
numū-pazīr huuñ lekin tire hisār meñ huuñ
kahāñ patā thā ki apnā hī pesh-o-pas huuñ maiñ
kise ḳhabar thī ki tanhā khaḌā qatār meñ huuñ
tire vajūd kī har dhuup chhāñv hai jis meñ
maiñ reza-reza usī ḳhāk-e-rahguzār meñ huuñ
yahīñ kahīñ tirī nazroñ se gir ke bikhrūñgā
maiñ shāḳh-e-sabz abhī mausam-e-bahār meñ huuñ
sadā-e-abr idhar bhī koī ki tere liye
maiñ pā-ba-jaulāñ bahut dasht-e-be-kanār meñ huuñ
farār chāhūñ to jo kuchh hai sab gañvā baiThūñ
kuchh is tarah tirī āvāz ke hisār meñ huuñ
batā gayā thā patā bas yūñhī havāoñ ko
kahāñ ḳhabar thī ki maiñ bhī tire shumār meñ huuñ
alag na dekh bahut zard zard phūloñ se
nazar uThā ki maiñ chāroñ taraf bahār meñ huuñ
maiñ harf-harf tujhe jism-o-jāñ meñ le jā.ūñ
ki rang-rang tirī lauTtī bahār meñ huuñ
bikhar chukā hai vo 'ajmal' sadā.eñ de ke mujhe
ki maiñ asiir havāoñ ke kār-zār meñ huuñ
azal se apne hi hone ke intizar mein hun
numu-pazir hun lekin tere hisar mein hun
kahan pata tha ki apna hi pesh-o-pas hun main
kise KHabar thi ki tanha khaDa qatar mein hun
tere wajud ki har dhup chhanw hai jis mein
main reza-reza usi KHak-e-rahguzar mein hun
yahin kahin teri nazron se gir ke bikhrunga
main shaKH-e-sabz abhi mausam-e-bahaar mein hun
sada-e-abr idhar bhi koi ki tere liye
main pa-ba-jaulan bahut dasht-e-be-kanar mein hun
farar chahun to jo kuchh hai sab ganwa baiThun
kuchh is tarah teri aawaz ke hisar mein hun
bata gaya tha pata bas yunhi hawaon ko
kahan KHabar thi ki main bhi tere shumar mein hun
alag na dekh bahut zard zard phulon se
nazar uTha ki main chaaron taraf bahaar mein hun
main harf-harf tujhe jism-o-jaan mein le jaun
ki rang-rang teri lauTti bahaar mein hun
bikhar chuka hai wo 'ajmal' sadaen de ke mujhe
ki main asir hawaon ke kar-zar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.