azal se go mazaq-e-ahl-e-duniya aur hi kuchh hai
azal se go mazāq-e-ahl-e-duniyā aur hī kuchh hai
haqīqat meñ magar jiine kā manshā aur hī kuchh hai
mohabbat ne sikhā dī haiñ ma.āl-andeshiyāñ mujh ko
mire nazdīk mafhūm-e-tamanna aur hī kuchh hai
jabīn-e-shauq pāband-e-ta’ayyun ho nahīñ saktī
mazāq-e-justujū-e-dair-o-kā'ba aur hī kuchh hai
mohabbat meñ dil-e-māyūs ko ye kaun samjhā.e
ki un kī kam-nigāhī kā taqāzā aur hī kuchh hai
ye mehr-o-māh kī tābāniyāñ dhoka na deñ mujh ko
mirī āñkhoñ meñ vo jān-e-tamāshā aur hī kuchh hai
mujhe go imtiyāz-e-manzil-e-jānāñ nahīñ lekin
samajhtā huuñ ki vaj.h-e-laġhzish-e-pā aur hī kuchh hai
'hazīñ' minnat-kash-e-jām-o-subū hone se kyā hāsil
kisī kī mast nazroñ kā taqāzā aur hī kuchh hai
azal se go mazaq-e-ahl-e-duniya aur hi kuchh hai
haqiqat mein magar jine ka mansha aur hi kuchh hai
mohabbat ne sikha di hain maal-andeshiyan mujh ko
mere nazdik mafhum-e-tamanna aur hi kuchh hai
jabin-e-shauq paband-e-ta’ayyun ho nahin sakti
mazaq-e-justuju-e-dair-o-ka'ba aur hi kuchh hai
mohabbat mein dil-e-mayus ko ye kaun samjhae
ki un ki kam-nigahi ka taqaza aur hi kuchh hai
ye mehr-o-mah ki tabaniyan dhoka na den mujh ko
meri aankhon mein wo jaan-e-tamasha aur hi kuchh hai
mujhe go imtiyaz-e-manzil-e-jaanan nahin lekin
samajhta hun ki wajh-e-laghzish-e-pa aur hi kuchh hai
'hazin' minnat-kash-e-jam-o-subu hone se kya hasil
kisi ki mast nazron ka taqaza aur hi kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.