azal se ham-safar kya ham-muqaddar tak nahin milte
azal se ham-safar kya ham-muqaddar tak nahin milte
Safdar Siddiq Razi
MORE BYSafdar Siddiq Razi
azal se ham-safar kyā ham-muqaddar tak nahīñ milte
kināre āb-e-dariyā ke samundar tak nahīñ milte
bachā ābād āñkhoñ ko bahut ronā nahīñ achchhā
jahāñ sailāb aate haiñ vahāñ ghar tak nahīñ milte
guzargāheñ ye raaz afshā nahīñ kartīñ jahāñ pahle
bahut ūñche mahal the un ko patthar tak nahīñ milte
zamīñ kā ḳhalfishār is tarh sab par saya-afgan hai
gharoñ kī chār-dīvārī meñ ab dar tak nahīñ milte
'razī' ab nasl-e-ādam par kuchh aisā qaht-e-insāñ hai
musalmāñ kyā is ābādī meñ kāfir tak nahīñ milte
azal se ham-safar kya ham-muqaddar tak nahin milte
kinare aab-e-dariya ke samundar tak nahin milte
bacha aabaad aankhon ko bahut rona nahin achchha
jahan sailab aate hain wahan ghar tak nahin milte
guzargahen ye raaz afsha nahin kartin jahan pahle
bahut unche mahal the un ko patthar tak nahin milte
zamin ka KHalfishaar is tarh sab par saya-afgan hai
gharon ki chaar-diwari mein ab dar tak nahin milte
'razi' ab nasl-e-adam par kuchh aisa qaht-e-insan hai
musalman kya is aabaadi mein kafir tak nahin milte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.