azal se jis se rahe sare bad-guman patthar
azal se jis se rahe saare bad-gumāñ patthar
hue haiñ ab usī shīshe ke pāsbāñ patthar
huā jo gul to farāmosh kar diyā us ko
charāġh sā kabhī raushan thā ḳhāk-dāñ patthar
tarāsh kar jise anmol kar diyā us ne
sunātā hai usī teshe kī dāstāñ patthar
zamīñ pe us ko na rakhne kī shart Thahrī thī
uThā na paayā kabhī rakh diyā jahāñ patthar
tulūa hogā vo ik roz mere andar se
ufuq se tā-ba-ufuq hai jo zau-fishāñ patthar
lahū se tar thā badan par gila na ham ne kiyā
yahī sabab ki hue mujh se bad-gumāñ patthar
jabīn-e-sāda ko 'sāhil' jo us ne dekh liyā
usī ghaḌī se huā mujh pe mehrbāñ patthar
azal se jis se rahe sare bad-guman patthar
hue hain ab usi shishe ke pasban patthar
hua jo gul to faramosh kar diya us ko
charagh sa kabhi raushan tha KHak-dan patthar
tarash kar jise anmol kar diya us ne
sunata hai usi teshe ki dastan patthar
zamin pe us ko na rakhne ki shart Thahri thi
uTha na paya kabhi rakh diya jahan patthar
tulua hoga wo ek roz mere andar se
ufuq se ta-ba-ufuq hai jo zau-fishan patthar
lahu se tar tha badan par gila na hum ne kiya
yahi sabab ki hue mujh se bad-guman patthar
jabin-e-sada ko 'sahil' jo us ne dekh liya
usi ghaDi se hua mujh pe mehrban patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.