azal se suni ujaD basti mein koi mehman hua nahin hai
azal se suunī ujaaḌ bastī meñ koī mehmāñ huā nahīñ hai
koī bhī naġhma-sarā nahīñ hai kahīñ bhī rang-e-hinā nahīñ hai
barahna shāḳhoñ ko aarzū thī kabhī to barg-o-samar bhī hote
khulī fazāoñ ko takte rahne meñ zindagī kā mazā nahīñ hai
abhī to tūfāñ ḳhamoshiyoñ kī ridā-e-sangīñ meñ pal rahe haiñ
sukūt TuuTe bhī kis tarah se kisī ne dil ko chhuā nahīñ hai
tamām hone ko aa.e lamhe gine ginā.e the zindagī ke
magar vo tāb-o-tab-e-nafas hai ki jaise sūraj Dhalā nahīñ hai
vo raste raste bhaTakne vaale tamām din kī tapish ke maare
jo paa.eñ manzil ko shaam phūle to is meñ kuchh bhī burā nahīñ hai
jo rah-navardoñ ko pā-ba-jaulāñ na rakh sake tā-savād-e-manzil
vo shor-o-ġhauġhā-e-rahravāñ hai vo merī hargiz navā nahīñ hai
jagāo 'rizvāñ' ko is se pahle ki aañkh lagne kā vaqt aa.e
abhī to taare chamak rahe haiñ abhī saverā huā nahīñ hai
azal se suni ujaD basti mein koi mehman hua nahin hai
koi bhi naghma-sara nahin hai kahin bhi rang-e-hina nahin hai
barahna shaKHon ko aarzu thi kabhi to barg-o-samar bhi hote
khuli fazaon ko takte rahne mein zindagi ka maza nahin hai
abhi to tufan KHamoshiyon ki rida-e-sangin mein pal rahe hain
sukut TuTe bhi kis tarah se kisi ne dil ko chhua nahin hai
tamam hone ko aae lamhe gine ginae the zindagi ke
magar wo tab-o-tab-e-nafas hai ki jaise suraj Dhala nahin hai
wo raste raste bhaTakne wale tamam din ki tapish ke mare
jo paen manzil ko sham phule to is mein kuchh bhi bura nahin hai
jo rah-nawardon ko pa-ba-jaulan na rakh sake ta-sawad-e-manzil
wo shor-o-ghaugha-e-rahrawan hai wo meri hargiz nawa nahin hai
jagao 'rizwan' ko is se pahle ki aankh lagne ka waqt aae
abhi to tare chamak rahe hain abhi sawera hua nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.