azal se ta-ba-abad misl-e-ab KHamoshi
azal se tā-ba-abad misl-e-āb ḳhāmoshī
safar meñ gum hai ye mauj-e-sarāb ḳhāmoshī
navā kī zulmat-e-sail-e-ravāñ se niklo tum
diyā jalāo ki hai be-hisāb ḳhāmoshī
ajiib ronā sisaknā navāh-e-jān meñ thā
phir us ke baad huī be-naqāb ḳhāmoshī
hamārī zaat ke andar shu.ūr-e-zāt yahī
samundaroñ kā yahī iztirāb ḳhāmoshī
maiñ apnī sūrat-e-mub.ham ko dekhtā kaise
ki aa.ine meñ huī āftāb ḳhāmoshī
na koī harf-e-tamannā na koī harf-e-vafā
huzūr-e-yār huī bāryāb ḳhāmoshī
ḳhud apnā ilm-o-hunar dekhne ko nikle the
huī hai ham ko magar dastiyāb ḳhāmoshī
tire hurūf-e-badan ko na paḌh sakī dam-bhar
bas ik jhalak meñ huī āb-āb ḳhāmoshī
miyān-e-sahn-e-chaman fasl-e-ḳhvāb kā mātam
chukā rahī hai purānā hisāb ḳhāmoshī
ik inqalāb havā meñ sadā.eñ detā hai
zamīñ meñ chīḳh rahī hai janāb ḳhāmoshī
sahal na jaan ye ġhauġhā-e-shor-e-dil 'ajmal'
pas-e-numūd-e-tamanna azaab ḳhāmoshī
azal se ta-ba-abad misl-e-ab KHamoshi
safar mein gum hai ye mauj-e-sarab KHamoshi
nawa ki zulmat-e-sail-e-rawan se niklo tum
diya jalao ki hai be-hisab KHamoshi
ajib rona sisakna nawah-e-jaan mein tha
phir us ke baad hui be-naqab KHamoshi
hamari zat ke andar shuur-e-zat yahi
samundaron ka yahi iztirab KHamoshi
main apni surat-e-mubham ko dekhta kaise
ki aaine mein hui aaftab KHamoshi
na koi harf-e-tamanna na koi harf-e-wafa
huzur-e-yar hui baryab KHamoshi
KHud apna ilm-o-hunar dekhne ko nikle the
hui hai hum ko magar dastiyab KHamoshi
tere huruf-e-badan ko na paDh saki dam-bhar
bas ek jhalak mein hui aab-ab KHamoshi
miyan-e-sahn-e-chaman fasl-e-KHwab ka matam
chuka rahi hai purana hisab KHamoshi
ek inqalab hawa mein sadaen deta hai
zamin mein chiKH rahi hai janab KHamoshi
sahal na jaan ye ghaugha-e-shor-e-dil 'ajmal'
pas-e-numud-e-tamanna azab KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.