azal-ta-haal muqayyad si ek hayat mein hun
azal-tā-hāl muqayyad sī ik hayāt meñ huuñ
sazā bataur kisī aur kā.enāt meñ huuñ
mire tabīb mujhe hichkiyoñ kā nusḳha de
bharam rahe maiñ kisī ke tasavvurāt meñ huuñ
koī nahīñ thā to ḳhud se savāl-e-vasl kiyā
javāb aayā mu'āfī hisār-e-zāt meñ huuñ
sar-e-vajūd koī karbalā musallat hai
shadīd pyaas hai aur vādī-e-furāt meñ huuñ
tirā bhī koī tujhe chhoḌ ke chalā jaa.e
maiñ kuchh dinoñ se isī ḳhvāhish-e-nashāt meñ huuñ
'bashīr-badr' paḌhoge to maiñ milūñgā tumheñ
udāsī naam se hazrat kī kulliyāt meñ huuñ
azal-ta-haal muqayyad si ek hayat mein hun
saza bataur kisi aur kaenat mein hun
mere tabib mujhe hichkiyon ka nusKHa de
bharam rahe main kisi ke tasawwuraat mein hun
koi nahin tha to KHud se sawal-e-wasl kiya
jawab aaya mu'afi hisar-e-zat mein hun
sar-e-wajud koi karbala musallat hai
shadid pyas hai aur wadi-e-furaat mein hun
tera bhi koi tujhe chhoD ke chala jae
main kuchh dinon se isi KHwahish-e-nashat mein hun
'bashir-badr' paDhoge to main milunga tumhein
udasi nam se hazrat ki kulliyat mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.