aziz aae madad ko na gham-gusar aae
'azīz aa.e madad ko na ġham-gusār aa.e
zamāne-bhar ko musībat meñ ham pukār aa.e
samajh sakī na ḳhirad jab tire ishāre ko
junūñ-nasīb hamīñ the jo sū-e-dār aa.e
milegā tohfa-e-dil ke 'evaz nashāt ki ġham
kise ḳhabar hai ki jiit aa.e ham ki haar aa.e
junūñ kī ābla-pā.ī se phuul khilte ga.e
na jaane kitne bayābān ham nikhār aa.e
hamāre paas bhī kahne ko haiñ bahut bāteñ
magar kahe kā hamāre jo e'tibār aa.e
shikast-e-jām pe ro.e shikast-e-dil pe hañse
kuchh aise lamhe bhī 'jāved' ham guzār aa.e
'aziz aae madad ko na gham-gusar aae
zamane-bhar ko musibat mein hum pukar aae
samajh saki na KHirad jab tere ishaare ko
junun-nasib hamin the jo su-e-dar aae
milega tohfa-e-dil ke 'ewaz nashat ki gham
kise KHabar hai ki jit aae hum ki haar aae
junun ki aabla-pai se phul khilte gae
na jaane kitne bayaban hum nikhaar aae
hamare pas bhi kahne ko hain bahut baaten
magar kahe ka hamare jo e'tibar aae
shikast-e-jam pe roe shikast-e-dil pe hanse
kuchh aise lamhe bhi 'jawed' hum guzar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.