aziz kyon na ho phir gham tera KHushi ki tarah
aziiz kyoñ na ho phir ġham tirā ḳhushī kī tarah
ki iḳhtiyār bhī merā hai be-kasī kī tarah
ḳhudā ke vāste mat toḌ aasrā dil kā
ki maiñ ne Daalī hai mar-mar ke zindagī kī tarah
vo jis ko khilne se pahle hī toḌ le koī
tirī misāl hai ai dost us kalī kī tarah
tumhārī kaun adā par karūñ yaqīn ki tum
kabhī kisī kī tarah ho kabhī kisī kī tarah
nigāh-e-nāz meñ us baḳhshish-o-karam ke nisār
ki tū ne hosh bhī baḳhshā to be-ḳhudī kī tarah
na kyoñ ho naaz tabāhī-e-dil pe ai 'sāhir'
ki mujh ko Dālnā hai miT ke zindagī kī tarah
aziz kyon na ho phir gham tera KHushi ki tarah
ki iKHtiyar bhi mera hai be-kasi ki tarah
KHuda ke waste mat toD aasra dil ka
ki main ne Dali hai mar-mar ke zindagi ki tarah
wo jis ko khilne se pahle hi toD le koi
teri misal hai ai dost us kali ki tarah
tumhaari kaun ada par karun yaqin ki tum
kabhi kisi ki tarah ho kabhi kisi ki tarah
nigah-e-naz mein us baKHshish-o-karam ke nisar
ki tu ne hosh bhi baKHsha to be-KHudi ki tarah
na kyon ho naz tabahi-e-dil pe ai 'sahir'
ki mujh ko Dalna hai miT ke zindagi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.