aziz samjha jise apni zindagi ki tarah
'azīz samjhā jise apnī zindagī kī tarah
vahī qarīb se guzrā hai ajnabī kī tarah
mirā vajūd asīr-e-ta'ayyunāt nahīñ
guzar rahā huuñ añdheroñ se raushnī kī tarah
ye kis maqām pe le aa.ī ārzū-e-jamāl
har ik qadam jahāñ mushkil hai zindagī kī tarah
miTā sake na havādis mujhe zamāne ke
jabīn-e-vaqt pe huuñ naqsh-e-bandagī kī tarah
'aziz samjha jise apni zindagi ki tarah
wahi qarib se guzra hai ajnabi ki tarah
mera wajud asir-e-ta'ayyunat nahin
guzar raha hun andheron se raushni ki tarah
ye kis maqam pe le aai aarzu-e-jamal
har ek qadam jahan mushkil hai zindagi ki tarah
miTa sake na hawadis mujhe zamane ke
jabin-e-waqt pe hun naqsh-e-bandagi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.