azizo na puchho kahan rah gaya
azīzo na pūchho kahāñ rah gayā
jahāñ jī lagā bas vahāñ rah gayā
jo rahnā thā barq-e-tapāñ rah gayā
qafas jal gayā āshiyāñ rah gayā
huā mundamil zaḳhm-e-tīr-e-nazar
magar dil pe us kā nishāñ rah gayā
gayā āshiyāna zamāna huā
faqat ab ġham-e-āshiyāñ rah gayā
ye donoñ bhī manzil pe pahuñche magar
ġhubār uḌ gayā kārvāñ rah gayā
jahāñ kārvāñ kā huā thā qiyām
vahāñ kārvāñ kā nishāñ rah gayā
idhar vahshat-e-dil mujhe le uḌī
udhar hosh dāman-kashāñ rah gayā
kaho banda-parvar ho kis soch meñ
abhī kyā koī imtihāñ rah gayā
har ik chiiz ai 'qadr' aa.ī ga.ī
ġham-e-ishq hī jāvedāñ rah gayā
azizo na puchho kahan rah gaya
jahan ji laga bas wahan rah gaya
jo rahna tha barq-e-tapan rah gaya
qafas jal gaya aashiyan rah gaya
hua mundamil zaKHm-e-tir-e-nazar
magar dil pe us ka nishan rah gaya
gaya aashiyana zamana hua
faqat ab gham-e-ashiyan rah gaya
ye donon bhi manzil pe pahunche magar
ghubar uD gaya karwan rah gaya
jahan karwan ka hua tha qiyam
wahan karwan ka nishan rah gaya
idhar wahshat-e-dil mujhe le uDi
udhar hosh daman-kashan rah gaya
kaho banda-parwar ho kis soch mein
abhi kya koi imtihan rah gaya
har ek chiz ai 'qadr' aai gai
gham-e-ishq hi jawedan rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.