aziyyaton se nikalne ka mashwara deti
aziyyatoñ se nikalne kā mashvara detī
maiñ us kī thī to nahīñ phir bhī hausla detī
kisī azaab se kam to nahīñ hai ḳhush rahnā
duā ke naam pe kyuuñ us ko bad-duā detī
chhupā bhī letī mire bhed ko agar bil-farz
havā kā kyā hai koī aur gul khilā detī
bajā ki sahl na thā us kā ham-safar honā
kam az kam us ko palaTne kā rāsta detī
jo mujh se ishq ke qisse sunātā phirtā thā
kahīñ vo miltā to maiñ us ko aa.ina detī
mire ḳhudā koī masraf to hotā ashkoñ kā
fasīl-e-shahr kī tahrīr hī miTā detī
ḳhudā gavāh ki sar se jhaTak ke dekh liyā
nahīñ thā bas meñ vagarna use bhulā detī
maiñ us kī ḳhaas ināyat se bach ga.ī huuñ 'qamar'
vagarna ḳhalq-e-ḳhudā to mujhe miTā detī
aziyyaton se nikalne ka mashwara deti
main us ki thi to nahin phir bhi hausla deti
kisi azab se kam to nahin hai KHush rahna
dua ke nam pe kyun us ko bad-dua deti
chhupa bhi leti mere bhed ko agar bil-farz
hawa ka kya hai koi aur gul khila deti
baja ki sahl na tha us ka ham-safar hona
kam az kam us ko palaTne ka rasta deti
jo mujh se ishq ke qisse sunata phirta tha
kahin wo milta to main us ko aaina deti
mere KHuda koi masraf to hota ashkon ka
fasil-e-shahr ki tahrir hi miTa deti
KHuda gawah ki sar se jhaTak ke dekh liya
nahin tha bas mein wagarna use bhula deti
main us ki KHas inayat se bach gai hun 'qamar'
wagarna KHalq-e-KHuda to mujhe miTa deti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.