azm-e-safar hamara kabhi raegan na ho
'azm-e-safar hamārā kabhī rā.egāñ na ho
ham jis ko DhūñDte haiñ jahāñ vo vahāñ na ho
sharmā ke sun rahe the vo qissa visāl kā
dil chāhtā thā ḳhatm kabhī dāstāñ na ho
har dard-o-ġham ke baa'd bhī ḳhush-bāsh maiñ rahūñ
lab par ḳhudā kare kabhī āh-o-fuġhāñ na ho
maiñ ne bujhā diyā thā charāġhoñ ko is liye
ye hai shab-e-visāl koī darmiyāñ na ho
aisā bhī 'ishq meñ kahīñ hotā hai ai 'asar'
vo chāhtā hai aag lage aur dhuāñ na ho
'azm-e-safar hamara kabhi raegan na ho
hum jis ko DhunDte hain jahan wo wahan na ho
sharma ke sun rahe the wo qissa visal ka
dil chahta tha KHatm kabhi dastan na ho
har dard-o-gham ke ba'd bhi KHush-bash main rahun
lab par KHuda kare kabhi aah-o-fughan na ho
main ne bujha diya tha charaghon ko is liye
ye hai shab-e-visal koi darmiyan na ho
aisa bhi 'ishq mein kahin hota hai ai 'asar'
wo chahta hai aag lage aur dhuan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.