azm fani bhi la-zawal bhi hai
azm faanī bhī lā-zavāl bhī hai
aadmī hai to ye kamāl bhī hai
aarzū meñ halāvateñ bhī haiñ
aarzū markaz-e-ḳhayāl bhī hai
vārdāt-e-junūñ kā zikr na chheḌ
kuchh ḳhushī bhī hai kuchh malāl bhī hai
aa.ina hai javāb vahshat kā
aa.ina paikar-e-savāl bhī hai
hai javāñ fikr daur-e-hāzir kī
shiddat-e-hosh se niDhāl bhī hai
ḳhvāhish-e-zīst aaj duniyā meñ
jurm hai aur be-misāl bhī hai
kitne sūraj ubhar ke Duub ga.e
ufuq-e-dil ko ye ḳhayāl bhī hai
apne maazī ko bhūlne vaale
tujh se vābasta merā haal bhī hai
chāhtā huuñ jise maiñ us kā 'nazar'
dūsrā naam lā-zavāl bhī hai
azm fani bhi la-zawal bhi hai
aadmi hai to ye kamal bhi hai
aarzu mein halawaten bhi hain
aarzu markaz-e-KHayal bhi hai
wardat-e-junun ka zikr na chheD
kuchh KHushi bhi hai kuchh malal bhi hai
aaina hai jawab wahshat ka
aaina paikar-e-sawal bhi hai
hai jawan fikr daur-e-hazir ki
shiddat-e-hosh se niDhaal bhi hai
KHwahish-e-zist aaj duniya mein
jurm hai aur be-misal bhi hai
kitne suraj ubhar ke Dub gae
ufuq-e-dil ko ye KHayal bhi hai
apne mazi ko bhulne wale
tujh se wabasta mera haal bhi hai
chahta hun jise main us ka 'nazar'
dusra nam la-zawal bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.