ba-andaz-e-digar ab ahd-o-paiman hote jate hain
ba-andāz-e-digar ab 'ahd-o-paimāñ hote jaate haiñ
kisī 'unvāñ sahī jiine ke sāmāñ hote jaate haiñ
ḳhizāñ ke daur ko jo mustaqil samjhe ġhalat samjhe
bahār aa.ī gulistāñ phir gulistāñ hote jaate haiñ
jinheñ thī mauj-e-bū-e-gul naved-e-chāk-dāmānī
vo dīvāne bhī mānūs-e-bahārāñ hote jaate haiñ
bajā thā gar mujhe apnī mohabbat par bharosa thā
ki us jānib se bhī ab 'ahd-o-paimāñ hote jaate haiñ
kaho ai būm-o-shappar ab diloñ par kyā guzartī hai
ki āsār-e-sahar kuchh kuchh numāyāñ hote jaate haiñ
ba-andaz-e-digar ab 'ahd-o-paiman hote jate hain
kisi 'unwan sahi jine ke saman hote jate hain
KHizan ke daur ko jo mustaqil samjhe ghalat samjhe
bahaar aai gulistan phir gulistan hote jate hain
jinhen thi mauj-e-bu-e-gul nawed-e-chaak-damani
wo diwane bhi manus-e-bahaaran hote jate hain
baja tha gar mujhe apni mohabbat par bharosa tha
ki us jaanib se bhi ab 'ahd-o-paiman hote jate hain
kaho ai bum-o-shappar ab dilon par kya guzarti hai
ki aasar-e-sahar kuchh kuchh numayan hote jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.