ba-faiz-e-‘ishq ab ye ‘alam-e-dil hota jata hai
ba-faiz-e-‘ishq ab ye ‘ālam-e-dil hotā jaatā hai
jahān-e-ārzū ik harf-e-bātil hotā jaatā hai
asar-andāz shāyad jazba-e-dil hotā jaatā hai
jafāoñ par pashemāñ ḳhud hī qātil hotā jaatā hai
numūd-e-sajda rasm-e-bandagī lāzim nahīñ koī
'aqīdat dil se ho to qurb hāsil hotā jaatā hai
talātum hī talātum hai safīne ke muqaddar meñ
mirī kashtī se har dam duur sāhil hotā jaatā hai
huā jaatā hai rashk-e-anjuman tanhā.ī kā 'ālam
mirī shām-o-sahar meñ kaun shāmil hotā jaatā hai
tadabbur ho agar 'naġhmī' yaqīn-o-‘azm o himmat ho
nishān-e-har-qadam ḳhud naqsh-e-manzil hotā jaatā hai
ba-faiz-e-‘ishq ab ye ‘alam-e-dil hota jata hai
jahan-e-arzu ek harf-e-baatil hota jata hai
asar-andaz shayad jazba-e-dil hota jata hai
jafaon par pasheman KHud hi qatil hota jata hai
numud-e-sajda rasm-e-bandagi lazim nahin koi
'aqidat dil se ho to qurb hasil hota jata hai
talatum hi talatum hai safine ke muqaddar mein
meri kashti se har dam dur sahil hota jata hai
hua jata hai rashk-e-anjuman tanhai ka 'alam
meri sham-o-sahar mein kaun shamil hota jata hai
tadabbur ho agar 'naghmi' yaqin-o-‘azm o himmat ho
nishan-e-har-qadam KHud naqsh-e-manzil hota jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.