ba-faiz-e-ishq humne jab KHirad ka rasta badla
ba-faiz-e-ishq ham ne jab ḳhirad kā rāsta badlā
mazāq-e-zindagī ke saath dil kā mudda.ā badlā
sukūn-e-dil kī ḳhātir aaj andāz-e-vafā badlā
mirī sūrat badal jaane se dil kā mudda.ā badlā
mohabbat hī mohabbat hai jidhar dekho zamāne meñ
mirī qismat ki un hāthoñ meñ phir rang-e-hinā badlā
mohabbat kī ye rusvā.ī ḳhudā jaane kahāñ tak ho
agar majbūr-e-ġham ho kar koī ġham-āshnā badlā
kuchh is andāz se pahlū meñ lī hai dil ne añgḌā.ī
mizāj-e-ashk-e-ġham haa.e ba-unvān-e-hinā badlā
sunā to hai badal jaatī haiñ roz-o-shab se taqdīreñ
ḳhudā jaane na kyoñ ab tak 'kalīm'-e-be-navā badlā
ba-faiz-e-ishq hum ne jab KHirad ka rasta badla
mazaq-e-zindagi ke sath dil ka muddaa badla
sukun-e-dil ki KHatir aaj andaz-e-wafa badla
meri surat badal jaane se dil ka muddaa badla
mohabbat hi mohabbat hai jidhar dekho zamane mein
meri qismat ki un hathon mein phir rang-e-hina badla
mohabbat ki ye ruswai KHuda jaane kahan tak ho
agar majbur-e-gham ho kar koi gham-ashna badla
kuchh is andaz se pahlu mein li hai dil ne angDai
mizaj-e-ashk-e-gham hae ba-unwan-e-hina badla
suna to hai badal jati hain roz-o-shab se taqdiren
KHuda jaane na kyon ab tak 'kalim'-e-be-nawa badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.