ba-faiz-e-ishq wo din bhi kabhi parwardigar aae
ba-faiz-e-ishq vo din bhī kabhī parvardigār aa.e
mire ghar koī aa jaa.e mire ghar meñ bahār aa.e
kabhī to aa hī jaatā hai vo manzar bhī nigāhoñ meñ
jahāñ marne ko jī chāhe jahāñ jiine meñ aar aa.e
ye vīrānī kā aalam hai yahāñ sab ḳhāna-vīrāñ haiñ
ye dīvānoñ kī duniyā hai yahāñ koī hoshiyār aa.e
bharam sab khul gayā ai shaiḳh terī pārsā.ī kā
sahar masjid meñ pahuñchāne tujhe jab bāda-ḳhvār aa.e
jinheñ apnā samajhtā thā vahī nikle haiñ begāne
jahāñ vāloñ pe ab kyā ḳhaak mujh ko e.atibār aa.e
ḳhudā ne husn kuchh aisā diyā hai dekh kar jis ko
mirā to zikr hī kyā hai zamāne bhar ko pyaar aa.e
ye kaisā dil banāyā hai hasīnoñ kā ḳhudā-vandā
na hañsnā sāzgār aa.e na ronā sāzgār aa.e
nigāh-e-mehr se us ne mujhe 'ejāz' dekhā hai
magar is chalte phirte saa.e kā kyā e.atibār aa.e
ba-faiz-e-ishq wo din bhi kabhi parwardigar aae
mere ghar koi aa jae mere ghar mein bahaar aae
kabhi to aa hi jata hai wo manzar bhi nigahon mein
jahan marne ko ji chahe jahan jine mein aar aae
ye virani ka aalam hai yahan sab KHana-viran hain
ye diwanon ki duniya hai yahan koi hoshiyar aae
bharam sab khul gaya ai shaiKH teri parsai ka
sahar masjid mein pahunchane tujhe jab baada-KHwar aae
jinhen apna samajhta tha wahi nikle hain begane
jahan walon pe ab kya KHak mujh ko eatibar aae
KHuda ne husn kuchh aisa diya hai dekh kar jis ko
mera to zikr hi kya hai zamane bhar ko pyar aae
ye kaisa dil banaya hai hasinon ka KHuda-wanda
na hansna sazgar aae na rona sazgar aae
nigah-e-mehr se us ne mujhe 'ejaz' dekha hai
magar is chalte phirte sae ka kya eatibar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.