ba-har-unwan mohabbat ko bahaar-e-zindagi kahiye
ba-har-unvāñ mohabbat ko bahār-e-zindagī kahiye
qarīn-e-maslahat hai us ke har ġham ko ḳhushī kahiye
jahāñ-sāzoñ ko farzāna ham ahl-e-dil ko dīvāna
zamāna to bahut kahtā rahā ab aap bhī kahiye
ba-unvān-e-digar phir ham se qaa.em kar liyā tum ne
vo ik gahrā ta'alluq jis ko tark-e-dostī kahiye
samajh kar sañg-e-rāh-e-shauq Thukrātā huuñ manzil ko
kamāl-e-āgahī kahiye ise yā gumrahī kahiye
shab-e-mahtāb meñ aksar fazāoñ se barastā hai
tilism-e-naġhmagī aisā ki jis ko ḳhāmushī kahiye
maiñ aksar sochtā huuñ terī be-pāyāñ navāzish ko
adā-e-ḳhās kahiye koī yā bas sādgī kahiye
bharī mahfil se bhī tishna hī lauT aa.ī nazar apnī
ḳhud-āgāhī samajh liije ise yā ḳhud-sarī kahiye
ba-har-unwan mohabbat ko bahaar-e-zindagi kahiye
qarin-e-maslahat hai us ke har gham ko KHushi kahiye
jahan-sazon ko farzana hum ahl-e-dil ko diwana
zamana to bahut kahta raha ab aap bhi kahiye
ba-unwan-e-digar phir hum se qaem kar liya tum ne
wo ek gahra ta'alluq jis ko tark-e-dosti kahiye
samajh kar sang-e-rah-e-shauq Thukraata hun manzil ko
kamal-e-agahi kahiye ise ya gumrahi kahiye
shab-e-mahtab mein aksar fazaon se barasta hai
tilism-e-naghmagi aisa ki jis ko KHamushi kahiye
main aksar sochta hun teri be-payan nawazish ko
ada-e-KHas kahiye koi ya bas sadgi kahiye
bhari mahfil se bhi tishna hi lauT aai nazar apni
KHud-agahi samajh lije ise ya KHud-sari kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.