ba-juz fareb-e-yaqin kitabon ne kya diya hai
ba-juz fareb-e-yaqīñ kitāboñ ne kyā diyā hai
bigaḌte bante gumāñ ne mujh ko ḳhudā diyā hai
hinā.ī pairoñ ke phuul ab to bikher bhī do
tumhāre aage lahū kā sabza bichhā diyā hai
kisī ke hoñThoñ kā nuur jis ke jamāl meñ thā
vo barg-e-sad-rang-e-'ishq maiñ ne jalā diyā hai
fasīl-o-ḳhandaq pe shahr-e-nau phir azaan degā
sukūt-e-girya ne bām-o-dar ko hilā diyā hai
ġhubār-e-tīra ko surma-e-jāñ banā rahā huuñ
havā-e-duniyā ne merā sūraj bujhā diyā hai
ba-juz fareb-e-yaqin kitabon ne kya diya hai
bigaDte bante guman ne mujh ko KHuda diya hai
hinai pairon ke phul ab to bikher bhi do
tumhaare aage lahu ka sabza bichha diya hai
kisi ke honThon ka nur jis ke jamal mein tha
wo barg-e-sad-rang-e-'ishq main ne jala diya hai
fasil-o-KHandaq pe shahr-e-nau phir azan dega
sukut-e-girya ne baam-o-dar ko hila diya hai
ghubar-e-tira ko surma-e-jaan bana raha hun
hawa-e-duniya ne mera suraj bujha diya hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 93)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.