ba-qadr-e-fikr yaktai mili hai
ba-qadr-e-fikr yaktā.ī milī hai
bharī mahfil meñ tanhā.ī milī hai
gul-e-hastī ko ra.anā.ī milī hai
ki rang-o-bū ko yakjā.ī milī hai
diyā raushan karūñ phir tujh ko dekhūñ
baḌī mashrūt bīnā.ī milī hai
adāvat kā yahāñ par zikr hī kyā
mohabbat meñ bhī rusvā.ī milī hai
milī hogī kisī ko shaam raushan
sahar bhī mujh ko sañvlā.ī milī hai
milā hai zauq-e-ḳhud-ārā.ī un ko
mujhe ḳhū-e-jabīñ-sā.ī milī hai
guloñ kā rang bhī utrā hai 'shāriq'
kalī bhī aaj kum.hlā.ī milī hai
ba-qadr-e-fikr yaktai mili hai
bhari mahfil mein tanhai mili hai
gul-e-hasti ko ranai mili hai
ki rang-o-bu ko yakjai mili hai
diya raushan karun phir tujh ko dekhun
baDi mashrut binai mili hai
adawat ka yahan par zikr hi kya
mohabbat mein bhi ruswai mili hai
mili hogi kisi ko sham raushan
sahar bhi mujh ko sanwlai mili hai
mila hai zauq-e-KHud-arai un ko
mujhe KHu-e-jabin-sai mili hai
gulon ka rang bhi utra hai 'shaariq'
kali bhi aaj kumhlai mili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.