ba-qadr-e-KHwab qarina shab-e-visal ka tha
ba-qadr-e-ḳhvāb qarīna shab-e-visāl kā thā
nafīs-o-narm sā lahja shab-e-visāl kā thā
mirī kitāb ko siine pe rakh ke so ga.ī thī
khulā huā thā jo saf.ha shab-e-visāl kā thā
bas us kī yaad thī aur maiñ thā koī aur nahīñ
aur apne aap se charchā shab-e-visāl kā thā
larazte lab the laboñ par guñdhī thī saañs se saañs
mahaktā bhīgtā chehra shab-e-visāl kā thā
numūd-e-sub.h ne sab ḳhvāb toḌ Daale magar
nazar meñ ab bhī ujālā shab-e-visāl kā thā
ba-qadr-e-KHwab qarina shab-e-visal ka tha
nafis-o-narm sa lahja shab-e-visal ka tha
meri kitab ko sine pe rakh ke so gai thi
khula hua tha jo safha shab-e-visal ka tha
bas us ki yaad thi aur main tha koi aur nahin
aur apne aap se charcha shab-e-visal ka tha
larazte lab the labon par gundhi thi sans se sans
mahakta bhigta chehra shab-e-visal ka tha
numud-e-subh ne sab KHwab toD Dale magar
nazar mein ab bhi ujala shab-e-visal ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.