ba-qadr-e-zarf sab ne apne etibar chun liye
ba-qadr-e-zarf sab ne apne e'tibār chun liye
ḳhirad ne phuul le liye junūñ ne ḳhaar chun liye
huā madīna-e-yaqīn us kā rashk-e-gulsitāñ
vo jis ne rif’at-e-yaqīñ ke regzār chun liye
'ajab thā tifl-e-tishna-lab kī eḌiyoñ kā mo'jiza
talab ne us kī rahmatoñ ke ābshār chun liye
nisāb-e-haq milā to apnī 'āqibat sañvar ga.ī
vo ham ne rāste ba-fazl-e-kirdgār chun liye
nuqūsh-e-pā-e-rāhbar qadam-qadam pe chuum ke
hayāt ham ne tere saare e'tibār chun liye
bahut hī qīmtī rahe vo 'arsa-e-hayāt meñ
jo lamhe 'ishq ne barā.e-intizār chun liye
likhī jo mad.h-e-jān-e-jāñ qalam ne pā.īñ rif'ateñ
ma'ānī-o-ḳhirad ke ham ne regzār chun liye
ba-qadr-e-zarf sab ne apne e'tibar chun liye
KHirad ne phul le liye junun ne KHar chun liye
hua madina-e-yaqin us ka rashk-e-gulsitan
wo jis ne rif’at-e-yaqin ke regzar chun liye
'ajab tha tifl-e-tishna-lab ki eDiyon ka mo'jiza
talab ne us ki rahmaton ke aabshaar chun liye
nisab-e-haq mila to apni 'aqibat sanwar gai
wo hum ne raste ba-fazl-e-kirdgar chun liye
nuqush-e-pa-e-rahbar qadam-qadam pe chum ke
hayat hum ne tere sare e'tibar chun liye
bahut hi qimti rahe wo 'arsa-e-hayat mein
jo lamhe 'ishq ne barae-intizar chun liye
likhi jo madh-e-jaan-e-jaan qalam ne pain rif'aten
ma'ani-o-KHirad ke hum ne regzar chun liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.