ba-sad-KHulus ba-sad-ehtimam hoti hai
ba-sad-ḳhulūs ba-sad-ehtimām hotī hai
suḳhan ke naam pe hujjat tamām hotī hai
suḳhanvarī kā kahāñ hausla ki ham-suḳhano
kabhī-kabhār ġhazal ham-kalām hotī hai
ham apne apne masā.il pe baat karte haiñ
jo rāste meñ duā-o-salām hotī hai
jo terī yaad kī chilla-kashī meñ rahte haiñ
na sub.h hotī hai un kī na shaam hotī hai
ḳhudā nasīb kare tum ko vo buland maqām
jahāñ pe ḳhvāhish-e-duniyā ġhulām hotī hai
ye moTī moTī kitābeñ jo chhap rahī haiñ yahāñ
paḌheñ to shā.erī ik do gram hotī hai
ik aisī chiiz bhī hai vā.izoñ ke qabze meñ
vahāñ halāl yahāñ par harām hotī hai
ba-sad-KHulus ba-sad-ehtimam hoti hai
suKHan ke nam pe hujjat tamam hoti hai
suKHanwari ka kahan hausla ki ham-suKHano
kabhi-kabhaar ghazal ham-kalam hoti hai
hum apne apne masail pe baat karte hain
jo raste mein dua-o-salam hoti hai
jo teri yaad ki chilla-kashi mein rahte hain
na subh hoti hai un ki na sham hoti hai
KHuda nasib kare tum ko wo buland maqam
jahan pe KHwahish-e-duniya ghulam hoti hai
ye moTi moTi kitaben jo chhap rahi hain yahan
paDhen to shaeri ek do gram hoti hai
ek aisi chiz bhi hai waizon ke qabze mein
wahan halal yahan par haram hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.