ba-sad KHulus ba-tarz-e-nisab paDh Dalen
ba-sad ḳhulūs ba-tarz-e-nisāb paḌh Dāleñ
kitāb-e-ishq kā har ek baab paḌh Dāleñ
añdherā aane pe ye ilm raushnī degā
charāġh bujhne se pahle kitāb paḌh Dāleñ
pas-e-hijāb ruḳh-e-māhnāz paḌh na sake
ho aaj izn agar be-hijāb paḌh Dāleñ
ajab nahīñ ki nayā azm dil meñ paidā ho
hamārī kyā thī kabhī āb-o-tāb paḌh Dāleñ
zamīñ pe bhī isī mīzān ko kareñ qaa.em
falak pe darj ḳhudā kā ḳhitāb paḌh Dāleñ
qayās kījiye kyā kyā savāl ā.eñge
savāl aane se pahle javāb paḌh Dāleñ
shurūa god se ho gor tak rahe jaarī
hisāb rakhiyegā kyā be-hisāb paḌh Dāleñ
mutāle.a ho maqāle kā hai ye haq 'jāved'
mile na vaqt to lubb-e-lubāb paḌh Dāleñ
ba-sad KHulus ba-tarz-e-nisab paDh Dalen
kitab-e-ishq ka har ek bab paDh Dalen
andhera aane pe ye ilm raushni dega
charagh bujhne se pahle kitab paDh Dalen
pas-e-hijab ruKH-e-mahnaz paDh na sake
ho aaj izn agar be-hijab paDh Dalen
ajab nahin ki naya azm dil mein paida ho
hamari kya thi kabhi aab-o-tab paDh Dalen
zamin pe bhi isi mizan ko karen qaem
falak pe darj KHuda ka KHitab paDh Dalen
qayas kijiye kya kya sawal aaenge
sawal aane se pahle jawab paDh Dalen
shurua god se ho gor tak rahe jari
hisab rakhiyega kya be-hisab paDh Dalen
mutalea ho maqale ka hai ye haq 'jawed'
mile na waqt to lubb-e-lubab paDh Dalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.