Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-sath-e-ab koi aks-e-na-tawan na paDa

Jafar Shirazi

ba-sath-e-ab koi aks-e-na-tawan na paDa

Jafar Shirazi

MORE BYJafar Shirazi

    ba-sat.h-e-āb koī aks-e-nā-tavāñ na paḌā

    havā guzar bhī ga.ī aur kahīñ nishāñ na paḌā

    baḌe sukūn se dekhā hai jalte lamhoñ ko

    hamārī aañkh meñ varna dhuāñ kahāñ na paḌā

    kaThin bhī aisā na thā merī terī sulh kaam

    koī bhī shaḳhs mire tere darmiyāñ na paḌā

    hue haiñ ḳhaak ḳhamoshī ke dasht meñ kho kar

    hamāre kaan meñ shor-kārvāñ na paḌā

    balā dhuup hai 'ja.afar' kisī ko hosh nahīñ

    paḌā hai abr saayā kahāñ kahāñ na paḌā

    ba-sath-e-ab koi aks-e-na-tawan na paDa

    hawa guzar bhi gai aur kahin nishan na paDa

    baDe sukun se dekha hai jalte lamhon ko

    hamari aankh mein warna dhuan kahan na paDa

    kaThin bhi aisa na tha meri teri sulh ka kaam

    koi bhi shaKHs mere tere darmiyan na paDa

    hue hain KHak KHamoshi ke dasht mein kho kar

    hamare kan mein hi shor-karwan na paDa

    bala ki dhup hai 'jafar' kisi ko hosh nahin

    paDa hai abr ka saya kahan kahan na paDa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now