ba-shakl-e-shabnam Tapak ke har gul pe husn-e-gul ka nikhaar ho ja
ba-shakl-e-shabnam Tapak ke har gul pe husn-e-gul ka nikhaar ho ja
Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
ba-shakl-e-shabnam Tapak ke har gul pe husn-e-gul kā nikhār ho jā
gul-e-mohabbat kī justujū meñ kalī kalī par nisār ho jā
sabā kī sūrat chaman pe chhā jā naved-e-sub.h-e-bahār ho jā
chaman meñ har shāḳh-e-gul kī zīnat har ik kalī kā siñgār ho jā
guloñ ke narm o latīf hoñToñ pa muskurāhaT ke rang bhar de
bahā ke ḳhūn-e-jigar ko apne chaman meñ tū lāla-zār ho jā
na ban sakā gar naved-e-ishrat to kuchh to hāsil ho zindagī kā
fasurda hoñToñ kī thartharāhaT dukhī diloñ kī pukār ho jā
'ziyā' javānī hai chaar din kī bitā de us ko bhī mai-kashī meñ
ye zohd-o-taqvā kā Dhoñg kaisā le jaam le bāda-ḳhvār ho jā
ba-shakl-e-shabnam Tapak ke har gul pe husn-e-gul ka nikhaar ho ja
gul-e-mohabbat ki justuju mein kali kali par nisar ho ja
saba ki surat chaman pe chha ja nawed-e-subh-e-bahaar ho ja
chaman mein har shaKH-e-gul ki zinat har ek kali ka singar ho ja
gulon ke narm o latif honTon pa muskurahaT ke rang bhar de
baha ke KHun-e-jigar ko apne chaman mein tu lala-zar ho ja
na ban saka gar nawed-e-ishrat to kuchh to hasil ho zindagi ka
fasurda honTon ki thartharahaT dukhi dilon ki pukar ho ja
'ziya' jawani hai chaar din ki bita de us ko bhi mai-kashi mein
ye zohd-o-taqwa ka Dhong kaisa le jam le baada-KHwar ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.