ba-surat-e-saza diye gae hain hum
ba-sūrat-e-sazā diye ga.e haiñ ham
hamīñ ko be-bahā diye ga.e haiñ ham
naved ho ai hākimā naved ho
subūt the miTā diye ga.e haiñ ham
hamārī ḳhaak poTlī meñ band thī
bahāv meñ bahā diye ga.e haiñ ham
vo husn ko jo aag kī lapeT thā
ba-sūrat-e-havā diye ga.e haiñ ham
ziyāñ-pasand shahr ke charāġh the
so din meñ hī jalā diye ga.e haiñ ham
tumheñ qubūl ho tumhārā taḳhliya
ḳhayāl se uThā diye ga.e haiñ ham
ba-surat-e-saza diye gae hain hum
hamin ko be-baha diye gae hain hum
nawed ho ai hakima nawed ho
subut the miTa diye gae hain hum
hamari KHak poTli mein band thi
bahaw mein baha diye gae hain hum
wo husn ko jo aag ki lapeT tha
ba-surat-e-hawa diye gae hain hum
ziyan-pasand shahr ke charagh the
so din mein hi jala diye gae hain hum
tumhein qubul ho tumhaara taKHliya
KHayal se uTha diye gae hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.