ba-zahir Thik lagte ho magar ye aankh kyon nam hai
ba-zāhir Thiik lagte ho magar ye aañkh kyoñ nam hai
ḳhushī par ro diye ho kyoñ tumheñ kis baat kā ġham hai
kabhī hañstī huī nam aañkh dekhoge to samjhoge
haiñ ġham kī sūrateñ kitnī ḳhushī ke baad bhī ġham hai
aziyyat jhelnī hogī yahāñ bas āḳhirī dam tak
jahāñ meñ jis qadar jitnā jise hai aarzī ġham hai
diyā maslak kā jaltā hai dil-e-muslim kī rāhoñ meñ
jahāñ raushan to hai lekin abhī bhī raushnī kam hai
yahāñ va.ade nibhāne kā kaheñge āḳhirī dam tak
kise ma.alūm kab kis kā yahāñ par āḳhirī dam hai
hunar se dukh kuredeñ tab kahīñ ash.ār bante haiñ
rasā.ī kam sahī lekin tumhārī daad bhī kam hai
ba-zahir Thik lagte ho magar ye aankh kyon nam hai
KHushi par ro diye ho kyon tumhein kis baat ka gham hai
kabhi hansti hui nam aankh dekhoge to samjhoge
hain gham ki suraten kitni KHushi ke baad bhi gham hai
aziyyat jhelni hogi yahan bas aaKHiri dam tak
jahan mein jis qadar jitna jise hai aarzi gham hai
diya maslak ka jalta hai dil-e-muslim ki rahon mein
jahan raushan to hai lekin abhi bhi raushni kam hai
yahan wade nibhane ka kahenge aaKHiri dam tak
kise malum kab kis ka yahan par aaKHiri dam hai
hunar se dukh kureden tab kahin ashaar bante hain
rasai kam sahi lekin tumhaari dad bhi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.