ba-zahir tu paraya bhi nahin hai
ba-zāhir tū parāyā bhī nahīñ hai
vo apnā ho ke bhī apnā nahīñ hai
mire lab se hañsī chhīnī thī jis ne
sunā hai vo bhī ab hañstā nahīñ hai
mirī āvārgī pe rāstoñ ne
mujhe pūchhā koī terā nahīñ hai
zamāna muntazir hai us lahū kā
jo merī aañkh se Tapkā nahīñ hai
mujhe to ḳhauf apne aap se hai
kisī se Dar mujhe lagtā nahīñ hai
huā jo so huā ab chhoḌ bhī do
bahut bhī sochnā achchhā nahīñ hai
ḳhatā apnī bhī maano kuchh 'samīna'
usī kā dosh to saarā nahīñ hai
ba-zahir tu paraya bhi nahin hai
wo apna ho ke bhi apna nahin hai
mere lab se hansi chhini thi jis ne
suna hai wo bhi ab hansta nahin hai
meri aawargi pe raston ne
mujhe puchha koi tera nahin hai
zamana muntazir hai us lahu ka
jo meri aankh se Tapka nahin hai
mujhe to KHauf apne aap se hai
kisi se Dar mujhe lagta nahin hai
hua jo so hua ab chhoD bhi do
bahut bhi sochna achchha nahin hai
KHata apni bhi mano kuchh 'samina'
usi ka dosh to sara nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.