Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-zahir ye jo begane bahut hain

Parveen Fana Syed

ba-zahir ye jo begane bahut hain

Parveen Fana Syed

MORE BYParveen Fana Syed

    ba-zāhir ye jo begāne bahut haiñ

    hamāre jāne-pahchāne bahut haiñ

    ḳhirad-mando mubārak azm-e-aflāk

    zamīñ par chand dīvāne bahut haiñ

    shabistānoñ se tum niklo to dekho

    bhare shahroñ meñ vīrāne bahut haiñ

    tumhārā mai-kada tum ko mubārak

    hameñ yādoñ ke paimāne bahut haiñ

    gilā kyā ġhair begānagī

    ki jo apne haiñ begāne bahut haiñ

    nizām-e-zīst mehvar mohabbat

    haqīqat ek afsāne bahut haiñ

    ba-zahir ye jo begane bahut hain

    hamare jaane-pahchane bahut hain

    KHirad-mando mubarak azm-e-aflak

    zamin par chand diwane bahut hain

    shabistanon se tum niklo to dekho

    bhare shahron mein virane bahut hain

    tumhaara mai-kada tum ko mubarak

    hamein yaadon ke paimane bahut hain

    gila kya ghair ki beganagi ka

    ki jo apne hain begane bahut hain

    nizam-e-zist ka mehwar mohabbat

    haqiqat ek afsane bahut hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now