ba-adab qimti saman mein rakkha jae
bā-adab qīmtī sāmān meñ rakkhā jaa.e
us kā ḳhat reshmī juzdān meñ rakkhā jaa.e
us kā ik jurm hai aur vo bhī faqat tark-e-vafā
us kā haq hai ki use dhyān meñ rakkhā jaa.e
bas yahī soch ke thāmā thā kisī kā dāman
phuul achchhā ho to guldān meñ rakkhā jaa.e
maiñ mohabbat ko 'ibādat kī jagah rakhtā huuñ
mujh se mujrim ko to zindān meñ rakkhā jaa.e
us kī yādoñ se kashīdūñgā nayā rizq-e-suḳhan
mujh ko sargardāñ bayābān meñ rakkhā jaa.e
maiñ to is dil se pareshāñ huuñ mire 'ḳhāna-ba-dosh'
dūsrā dil tan-e-be-jān meñ rakkhā jaa.e
ba-adab qimti saman mein rakkha jae
us ka KHat reshmi juzdan mein rakkha jae
us ka ek jurm hai aur wo bhi faqat tark-e-wafa
us ka haq hai ki use dhyan mein rakkha jae
bas yahi soch ke thama tha kisi ka daman
phul achchha ho to guldan mein rakkha jae
main mohabbat ko 'ibaadat ki jagah rakhta hun
mujh se mujrim ko to zindan mein rakkha jae
us ki yaadon se kashidunga naya rizq-e-suKHan
mujh ko sargardan bayaban mein rakkha jae
main to is dil se pareshan hun mere 'KHana-ba-dosh'
dusra dil tan-e-be-jaan mein rakkha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.