ba-adab teri mahfil mein aate rahe sari rasmen wafa ki nibhate rahe
ba-adab teri mahfil mein aate rahe sari rasmen wafa ki nibhate rahe
Sarfaraz Syed
MORE BYSarfaraz Syed
bā-adab terī mahfil meñ aate rahe saarī rasmeñ vafā kī nibhāte rahe
surḳh phūloñ se maqtal sajāte rahe yūñhī luTte rahe jaañ luTāte rahe
apne hāthoñ meñ apnī salībeñ liye jitnī mohlat milī terī ḳhātir jiye
ham to jānāñ sar-e-dār bhī lab siiye tujh ko dekhā kiye muskurāte rahe
bazm-gāhoñ meñ jitne tamāshā.ī the sab ke sab terī āñkhoñ ke shaidā.ī the
ham to nādān the ham to saudā.ī the razm-gāhoñ meñ āñkheñ bichhāte rahe
sab havāle sadāqat ke be-kār the ham ki mansūr the ham gunahgār the
jab bhī āñkheñ khulīñ ham sar-e-dār the zindagī bhar yūñhī jagmagāte rahe
daar kī pahlī sīḌhī pe rakh kar qadam mo'atabar ho ga.e ek lamhe meñ ham
ham nibhāte rahe vahshatoñ kā bharam zaḳhm chunte rahe giit gaate rahe
kisht-e-jāñ meñ jo bo.e the aañsū kabhī be-panah tāzgī un kī fasloñ meñ thī
ham pukārā kiye zindagī zindagī chashm-e-nam meñ diye jhilmilāte rahe
vo jo har ik zamāne meñ ma.atūb thā vo jo har ik zamāne meñ maslūb thā
us musāfir kā raqs-e-junūñ ḳhuub thā der tak log qisse sunāte rahe
ba-adab teri mahfil mein aate rahe sari rasmen wafa ki nibhate rahe
surKH phulon se maqtal sajate rahe yunhi luTte rahe jaan luTate rahe
apne hathon mein apni saliben liye jitni mohlat mili teri KHatir jiye
hum to jaanan sar-e-dar bhi lab siye tujh ko dekha kiye muskuraate rahe
bazm-gahon mein jitne tamashai the sab ke sab teri aankhon ke shaidai the
hum to nadan the hum to saudai the razm-gahon mein aankhen bichhate rahe
sab hawale sadaqat ke be-kar the hum ki mansur the hum gunahgar the
jab bhi aankhen khulin hum sar-e-dar the zindagi bhar yunhi jagmagate rahe
dar ki pahli siDhi pe rakh kar qadam mo'atabar ho gae ek lamhe mein hum
hum nibhate rahe wahshaton ka bharam zaKHm chunte rahe git gate rahe
kisht-e-jaan mein jo boe the aansu kabhi be-panah tazgi un ki faslon mein thi
hum pukara kiye zindagi zindagi chashm-e-nam mein diye jhilmilate rahe
wo jo har ek zamane mein matub tha wo jo har ek zamane mein maslub tha
us musafir ka raqs-e-junun KHub tha der tak log qisse sunate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.