baad muddat ke ye ehsas hua ho jaise
baa'd muddat ke ye ehsās huā ho jaise
dil ke sahrā meñ koī phuul khilā ho jaise
ḳhūn-āshāmī-o-barbādī kā bāzār hai garm
har-sū vahshat kā nayā baab khulā ho jaise
gardish-e-vaqt ne is tarh se añgḌā.ī lī
ḳhvāb-e-vahshat se koī chauñk gayā ho jaise
ab to baaqī na rahā mujrim-o-munsif kā savāl
ek hī saf meñ har ik shaḳhs khaḌā ho jaise
kaun batlā.egā ab asl haqīqat kyā hai
chashm-e-bīnā pe bhī parda sā paḌā ho jaise
pūchh mat mujh se mirī hālat-e-dil ai 'bismil'
dil ke zaḳhmoñ pe nayā tiir chalā ho jaise
ba'd muddat ke ye ehsas hua ho jaise
dil ke sahra mein koi phul khila ho jaise
KHun-ashami-o-barbaadi ka bazar hai garm
har-su wahshat ka naya bab khula ho jaise
gardish-e-waqt ne is tarh se angDai li
KHwab-e-wahshat se koi chaunk gaya ho jaise
ab to baqi na raha mujrim-o-munsif ka sawal
ek hi saf mein har ek shaKHs khaDa ho jaise
kaun batlaega ab asl haqiqat kya hai
chashm-e-bina pe bhi parda sa paDa ho jaise
puchh mat mujh se meri haalat-e-dil ai 'bismil'
dil ke zaKHmon pe naya tir chala ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.