baad tere kya bataen aur kya chalta raha
baa'd tere kyā batā.eñ aur kyā chaltā rahā
zindagī-bhar zindagī kā mas.ala chaltā rahā
rāt-bhar baiThā rahā maiñ rū-ba-rū-e-māhtāb
aur us se tazkira bas aap kā chaltā rahā
ḳhvāb meñ aatī na thiiñ shahzādiyāñ un ke kabhī
muflisoñ ke ḳhvāb meñ bhī fāsla chaltā rahā
mārte haiñ bastiyoñ ke log patthar qais ko
yā'nī sahrā kā safar achchhā-bhalā chaltā rahā
lams ko tere kabhī maiñ bhuul hī paayā nahīñ
saath mere 'umr-bhar ik hādisa chaltā rahā
shāḳh-e-dil se jhaḌ chukī thī 'ishq kī har ik kalī
rishta apne darmiyāñ bas naam kā chaltā rahā
maiñ to bas taktā rahā un ke lab-o-ruḳhsār ko
un ke dil meñ ab ḳhudā jaane ki kyā chaltā rahā
'umr-bhar pinhāñ rahā qalb-o-jigar meñ terā ġham
'umr-bhar ḳhushiyoñ se merā fāsla chaltā rahā
is liye 'in'ām' manzil tak na jā paa.e qadam
ek saaya saath mere ḳhauf kā chaltā rahā
ba'd tere kya bataen aur kya chalta raha
zindagi-bhar zindagi ka masala chalta raha
raat-bhar baiTha raha main ru-ba-ru-e-mahtab
aur us se tazkira bas aap ka chalta raha
KHwab mein aati na thin shahzadiyan un ke kabhi
muflison ke KHwab mein bhi fasla chalta raha
marte hain bastiyon ke log patthar qais ko
ya'ni sahra ka safar achchha-bhala chalta raha
lams ko tere kabhi main bhul hi paya nahin
sath mere 'umr-bhar ek hadisa chalta raha
shaKH-e-dil se jhaD chuki thi 'ishq ki har ek kali
rishta apne darmiyan bas nam ka chalta raha
main to bas takta raha un ke lab-o-ruKHsar ko
un ke dil mein ab KHuda jaane ki kya chalta raha
'umr-bhar pinhan raha qalb-o-jigar mein tera gham
'umr-bhar KHushiyon se mera fasla chalta raha
is liye 'in'am' manzil tak na ja pae qadam
ek saya sath mere KHauf ka chalta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.