ba-KHuda maine KHub pi cigarette
bā-ḳhudā maiñ ne ḳhuub pī cigarette
jab jalī tere naam kī cigarette
maiñ na apnā.ūñgā ise phir se
nahīñ piitā maiñ muñh-lagī cigarette
ek din us ne hoñT chuum liye
aur phir maiñ ne chhoḌ dī cigarette
baat phir dostī pe lauT aa.ī
muñh lagāte hī bujh ga.ī cigarette
us ne ik din galī meñ dekh liyā
aur hoñToñ se chhīn lī cigarette
jaane kis kis ke muñh lagī jā kar
āḳhirī shab kī āḳhirī cigarette
itnā pūchhā thā kyā huā tujh ko
aur phir bolne lagī cigarette
is se bāhar kabhī na aa.e ga.e
maut cigarette hai zindagī cigarette
is se duurī banā ke rakh 'harshit'
muñh jalā degī bāvlī cigarette
ba-KHuda main ne KHub pi cigarette
jab jali tere nam ki cigarette
main na apnaunga ise phir se
nahin pita main munh-lagi cigarette
ek din us ne honT chum liye
aur phir main ne chhoD di cigarette
baat phir dosti pe lauT aai
munh lagate hi bujh gai cigarette
us ne ek din gali mein dekh liya
aur honTon se chhin li cigarette
jaane kis kis ke munh lagi ja kar
aaKHiri shab ki aaKHiri cigarette
itna puchha tha kya hua tujh ko
aur phir bolne lagi cigarette
is se bahar kabhi na aae gae
maut cigarette hai zindagi cigarette
is se duri bana ke rakh 'harshit'
munh jala degi bawli cigarette
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.