bab-e-tilism-e-hosh-ruba mil gaya mujhe
bāb-e-tilism-e-hosh-rubā mil gayā mujhe
maiñ ḳhud ko DhūñDtā thā ḳhudā mil gayā mujhe
jaanā ki reg-zār ke siine pe zaḳhm haiñ
saaya jo rāste meñ paḌā mil gayā mujhe
vīrāniyoñ se us ne mirā haal sun liyā
tanhā.iyoñ se us kā pata mil gayā mujhe
shohrat ke āsamān par uḌne lagā thā maiñ
raste meñ āgahī kā ḳhalā mil gayā mujhe
duniyā to mujh ko chhoḌ ke aage nikal ga.ī
ḳhvāboñ kā ik jazīra-numā mil gayā mujhe
gumrāhiyoñ pe faḳhr kī manzil ke paas hī
ik sañg-e-mīl hañstā huā mil gayā mujhe
jannat mire ḳhayāl kī mismār ho ga.ī
bad-qismatī se zehn-e-rasā mil gayā mujhe
bab-e-tilism-e-hosh-ruba mil gaya mujhe
main KHud ko DhunDta tha KHuda mil gaya mujhe
jaana ki reg-zar ke sine pe zaKHm hain
saya jo raste mein paDa mil gaya mujhe
viraniyon se us ne mera haal sun liya
tanhaiyon se us ka pata mil gaya mujhe
shohrat ke aasaman par uDne laga tha main
raste mein aagahi ka KHala mil gaya mujhe
duniya to mujh ko chhoD ke aage nikal gai
KHwabon ka ek jazira-numa mil gaya mujhe
gumrahiyon pe faKHr ki manzil ke pas hi
ek sang-e-mil hansta hua mil gaya mujhe
jannat mere KHayal ki mismar ho gai
bad-qismati se zehn-e-rasa mil gaya mujhe
- Book : kamaan (Pg. 253)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.