baad-e-muKhaalif puchh rahi hai waqt ke khewan-haaron se
baad-e-muKhaalif puchh rahi hai waqt ke khewan-haaron se
Mujeeb Shehzar
MORE BYMujeeb Shehzar
bād-e-muḳhālif pūchh rahī hai vaqt ke khevan-hāroñ se
kaise nayyā paar lagegī ghun-khā.ī patvāroñ se
baTvāre kī dīmak āḳhir un ko chaaT ga.ī hogī
bosīda kamre kā bharam thā qaa.em jin dīvāroñ se
jaane tumhārī fahm-o-farāsat kin qabroñ meñ dafn huī
kāġhaz kī poshāk badan par yārāne angāroñ se
māñge ke par kab chhin jaa.eñ uḌte hue kab gir jaao
ham jaise be-par achchhe haiñ tum jaise par-dāroñ se
kal tak jin ko naaz thā yaaro apnī chārasāzī par
dard kā darmāñ pūchh rahe haiñ aaj vahī bīmāroñ se
lafz-e-mujāhid likh to liyā hai apne apne sīnoñ par
ma.arka kaise sar kar loge zañg lage hathiyāroñ se
'shahzar' us se jā kar kah do vaqt tirā pāband nahīñ
aaj kī ḳhabareñ maañg rahā hai jo kal ke aḳhbāroñ se
baad-e-muKHalif puchh rahi hai waqt ke khewan-haaron se
kaise nayya par lagegi ghun-khai patwaron se
baTware ki dimak aaKHir un ko chaT gai hogi
bosida kamre ka bharam tha qaem jin diwaron se
jaane tumhaari fahm-o-farasat kin qabron mein dafn hui
kaghaz ki poshak badan par yarane angaron se
mange ke par kab chhin jaen uDte hue kab gir jao
hum jaise be-par achchhe hain tum jaise par-daron se
kal tak jin ko naz tha yaro apni chaarasazi par
dard ka darman puchh rahe hain aaj wahi bimaron se
lafz-e-mujahid likh to liya hai apne apne sinon par
marka kaise sar kar loge zang lage hathiyaron se
'shahzar' us se ja kar kah do waqt tera paband nahin
aaj ki KHabaren mang raha hai jo kal ke aKHbaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.