baad-e-saba hai raqs mein KHud lala-zar hai
bād-e-sabā hai raqs meñ ḳhud lāla-zār hai
aise meñ aap aa.eñ to lutf-e-bahār hai
mizhgān-e-tar kī oT meñ aañsū kī dhaar hai
ai chashm-e-shauq kis kā tujhe intizār hai
maut-o-hayāt tere ishāroñ ke naam haiñ
koī adā ḳhizāñ hai to koī bahār hai
maġhrūr kyoñ haiñ phuul chaman ke bahār par
do-chār din ke vāste fasl-e-bahār hai
'shāhid' ke sāmne haiñ manāzir hasīñ magar
dil hai ki aap hī ke liye be-qarār hai
baad-e-saba hai raqs mein KHud lala-zar hai
aise mein aap aaen to lutf-e-bahaar hai
mizhgan-e-tar ki oT mein aansu ki dhaar hai
ai chashm-e-shauq kis ka tujhe intizar hai
maut-o-hayat tere ishaaron ke nam hain
koi ada KHizan hai to koi bahaar hai
maghrur kyon hain phul chaman ke bahaar par
do-chaar din ke waste fasl-e-bahaar hai
'shahid' ke samne hain manazir hasin magar
dil hai ki aap hi ke liye be-qarar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.