baad muddat ke hawa aisi chali hai yaro
baad muddat ke havā aisī chalī hai yaaro
un kī har baat mire jī ko lagī hai yaaro
imtizāj āh-o-fuġhāñ nāla-o-fariyād kā hai
zindagī dard ke sāñche meñ Dhalī hai yaaro
jazba-e-josh-e-junūñ kā yahī anjām to hai
umr bhar mashġhala-e-jāma-darī hai yaaro
yahāñ har samt mire ḳhuun kī gul-kārī hai
ye na bhūlo mire qātil kī galī hai yaaro
bartaraf kar diyā thā us ne jahāñ se ham ko
ḳhaak us kūche kī bhī ham ne malī hai yaaro
qatra-e-ashk ke asbāb-o-ḳhalal bhī na chhupe
jab se rone kī ye aadat sī paḌī hai yaaro
ye tamanna ki mileñ sub.h-e-qayāmat meñ ham
baḌī mushkil se ik ik raat kaTī hai yaaro
fātiha ab to paḌho ashk bahā lo tum bhī
ab hameñ apnī qazā le ke chalī hai yaaro
dil kī dhaḌkan bhī 'shafaq' tez huī jaatī hai
un ke qadmoñ kī jo aahaT sī sunī hai yaaro
baad muddat ke hawa aisi chali hai yaro
un ki har baat mere ji ko lagi hai yaro
imtizaj aah-o-fughan nala-o-fariyaad ka hai
zindagi dard ke sanche mein Dhali hai yaro
jazba-e-josh-e-junun ka yahi anjam to hai
umr bhar mashghala-e-jama-dari hai yaro
yahan har samt mere KHun ki gul-kari hai
ye na bhulo mere qatil ki gali hai yaro
bartaraf kar diya tha us ne jahan se hum ko
KHak us kuche ki bhi hum ne mali hai yaro
qatra-e-ashk ke asbab-o-KHalal bhi na chhupe
jab se rone ki ye aadat si paDi hai yaro
ye tamanna ki milen subh-e-qayamat mein hum
baDi mushkil se ek ek raat kaTi hai yaro
fatiha ab to paDho ashk baha lo tum bhi
ab hamein apni qaza le ke chali hai yaro
dil ki dhaDkan bhi 'shafaq' tez hui jati hai
un ke qadmon ki jo aahaT si suni hai yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.