baad muddat ke teri yaad ke baadal barse
ba.ad muddat ke tirī yaad ke bādal barse
vo bhī aise ki ka.ī roz musalsal barse
muntazir aur bhī sahrā haiñ isī bādal ke
sirf tujh par hī bhalā kaise ye har pal barse
pyaas is shahr kī bujhne kā yahī rasta hai
ban ke bādal kisī darvesh kī chhāgal barse
lag ga.ī kis kī nazar shahr-e-nigārāñ ko mire
ab to har shaam yahāñ vahshat-e-maqtal barse
kab kī pyāsī hai zamīñ ye bhī nazar meñ rakkhe
kah do bādal se zarā der musalsal barse
lab-kushā ho ki mahak uTThe fazā kā ye sukūt
muntazir kab se samā.at hai ki sandal barse
baad muddat ke teri yaad ke baadal barse
wo bhi aise ki kai roz musalsal barse
muntazir aur bhi sahra hain isi baadal ke
sirf tujh par hi bhala kaise ye har pal barse
pyas is shahr ki bujhne ka yahi rasta hai
ban ke baadal kisi darwesh ki chhagal barse
lag gai kis ki nazar shahr-e-nigaran ko mere
ab to har sham yahan wahshat-e-maqtal barse
kab ki pyasi hai zamin ye bhi nazar mein rakkhe
kah do baadal se zara der musalsal barse
lab-kusha ho ki mahak uTThe faza ka ye sukut
muntazir kab se samaat hai ki sandal barse
- Book : Khwab Aasmano ke (Pg. 69)
- Author : Javed Nasimi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.