baada hi kahe hai na wo paimana kahe hai
baada hī kahe hai na vo paimāna kahe hai
jo baat tirī nargis-e-mastāna kahe hai
hastī kā bharam pyaar kā nazrāna kahe hai
kyā kyā na ġham-e-ishq ko dīvāna kahe hai
ye shahr-e-tamannā hai har ik chehra yahāñ kā
sang-e-sitam-o-jaur kā afsāna kahe hai
guzrā hai koī qāfila-e-bād-e-bahārī
mahkī huī ḳhāk-e-rah-e-vīrāna kahe hai
kyā baat hai dīvāne ke andāz-e-nazar kī
har chiiz ko aks-e-ruḳh-e-jānāna kahe hai
kahte haiñ ki 'nāzim' ravish-e-ām se haT kar
is husn-e-jahāñ-tāb kā afsāna kahe hai
baada hi kahe hai na wo paimana kahe hai
jo baat teri nargis-e-mastana kahe hai
hasti ka bharam pyar ka nazrana kahe hai
kya kya na gham-e-ishq ko diwana kahe hai
ye shahr-e-tamanna hai har ek chehra yahan ka
sang-e-sitam-o-jaur ka afsana kahe hai
guzra hai koi qafila-e-baad-e-bahaari
mahki hui KHak-e-rah-e-virana kahe hai
kya baat hai diwane ke andaz-e-nazar ki
har chiz ko aks-e-ruKH-e-jaanana kahe hai
kahte hain ki 'nazim' rawish-e-am se haT kar
is husn-e-jahan-tab ka afsana kahe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.