baada-KHane ki riwayat ko nibhana chahiye
bāda-ḳhāne kī rivāyat ko nibhānā chāhiye
jaam agar ḳhālī bhī ho gardish meñ aanā chāhiye
aaj aanā hai unheñ lekin na aanā chāhiye
vā'da-e-fardā usūlan bhuul jaanā chāhiye
tark karnā chāhiye hargiz na rasm-e-intizār
muntazir ko umr bhar sham'eñ jalānā chāhiye
jazb kar lete haiñ achchhī sūratoñ ko aa.ine
ā.inoñ se kyā tumheñ āñkheñ milānā chāhiye
mere us ke biich jo hālāt kī dīvār hai
mujh ko us dīvār meñ ik dar banānā chāhiye
phir karam-āgīñ tabassum meñ hai poshīda sitam
hosh-mandoñ ko pahelī buujh jaanā chāhiye
gardish-e-hālāt se māyūs honā kufr hai
umr bhar insāñ ko qismat āzmānā chāhiye
merī ġhazleñ hoñgī kal nā-mahramoñ ke darmiyāñ
us kī ḳhushbū merī ġhazloñ meñ na aanā chāhiye
ham to qaa.il hī nahīñ mahdūd-e-ulfat ke 'alīm'
ham ko ulfat ke liye saarā zamāna chāhiye
baada-KHane ki riwayat ko nibhana chahiye
jam agar KHali bhi ho gardish mein aana chahiye
aaj aana hai unhen lekin na aana chahiye
wa'da-e-farda usulan bhul jaana chahiye
tark karna chahiye hargiz na rasm-e-intizar
muntazir ko umr bhar sham'en jalana chahiye
jazb kar lete hain achchhi suraton ko aaine
aainon se kya tumhein aankhen milana chahiye
mere us ke bich jo haalat ki diwar hai
mujh ko us diwar mein ek dar banana chahiye
phir karam-agin tabassum mein hai poshida sitam
hosh-mandon ko paheli bujh jaana chahiye
gardish-e-haalat se mayus hona kufr hai
umr bhar insan ko qismat aazmana chahiye
meri ghazlen hongi kal na-mahramon ke darmiyan
us ki KHushbu meri ghazlon mein na aana chahiye
hum to qail hi nahin mahdud-e-ulfat ke 'alim'
hum ko ulfat ke liye sara zamana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.