baadal baras ke khul gaya rut mehrban hui
bādal baras ke khul gayā rut mehrbāñ huī
būḌhī zamīñ ne tan ke kahā maiñ javāñ huī
makḌī ne pahle jaal bunā mere gird phir
monis banī rafīq banī pāsbāñ huī
shab kī rikāb thaam ke ḳhushbū huī judā
din chaḌhte chaḌhte bisrī huī dāstāñ huī
karte ho ab talāsh sitāroñ ko ḳhaak par
jaise zamīñ zamīñ na huī āsmāñ huī
is baar aisā qaht paḌā chhāñv kā ki dhuup
har sūkhte shajar ke liye sā.ebāñ huī
giilī havā ke lams meñ kuchh thā vagarna kab
kaliyoñ kī baas galiyoñ ke andar ravāñ huī
aanā hai gar to aao ki chalne lagī havā
kashtī samundaroñ meñ khulā bādbāñ huī
baadal baras ke khul gaya rut mehrban hui
buDhi zamin ne tan ke kaha main jawan hui
makDi ne pahle jal buna mere gird phir
monis bani rafiq bani pasban hui
shab ki rikab tham ke KHushbu hui juda
din chaDhte chaDhte bisri hui dastan hui
karte ho ab talash sitaron ko KHak par
jaise zamin zamin na hui aasman hui
is bar aisa qaht paDa chhanw ka ki dhup
har sukhte shajar ke liye saeban hui
gili hawa ke lams mein kuchh tha wagarna kab
kaliyon ki bas galiyon ke andar rawan hui
aana hai gar to aao ki chalne lagi hawa
kashti samundaron mein khula baadban hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.