baadal jab unche parbat par dhund ki chadar tan gae
bādal jab ūñche parbat par dhund kī chādar taan ga.e
kyā kyā barsegā miTTī par saare saa.e jaan ga.e
phir dillī ke taḳht pe aa baiThā hai koī nādir-shāh
rangat ḳhushbū tak aa.egī is ke bhī imkān ga.e
chand kitābeñ kyā paḌh lī haiñ mere ahd ke bachchoñ ne
ḳhud ko to pahchān na paa.e duniyā ko pahchān ga.e
patā nahīñ kyā un ko merī chādar kitnī chhoTī hai
kaisī kaisī tohmat rakh kar mujh par sab mehmān ga.e
khod ke dekho un kī qabreñ mumkin hai kuchh patā chale
kahāñ chhupā kar saarī daulat bastī ke dhanvān ga.e
aane vaalī nasleñ apne ḳhvāb kahāñ mahkā.eñgī
ug aa.iiñ galiyāñ hī galiyāñ khule khule maidān ga.e
jin ke chehre dekh ke dil meñ ḳhushbū sī ghul jaatī thī
dhīre dhīre is bastī se vo saare insān ga.e
man kitnā gahrā sāgar hai tan kitnā ūñchā parbat
sādhū jab se gintī bhūle sāñsoñ ke anumān ga.e
jis din se 'parvāz' zamīñ par sannāToñ ke pahre haiñ
rāj-mahal sab khule paḌe haiñ chhuTTī par darbān ga.e
baadal jab unche parbat par dhund ki chadar tan gae
kya kya barsega miTTi par sare sae jaan gae
phir dilli ke taKHt pe aa baiTha hai koi nadir-shah
rangat KHushbu tak aaegi is ke bhi imkan gae
chand kitaben kya paDh li hain mere ahd ke bachchon ne
KHud ko to pahchan na pae duniya ko pahchan gae
pata nahin kya un ko meri chadar kitni chhoTi hai
kaisi kaisi tohmat rakh kar mujh par sab mehman gae
khod ke dekho un ki qabren mumkin hai kuchh pata chale
kahan chhupa kar sari daulat basti ke dhanwan gae
aane wali naslen apne KHwab kahan mahkaengi
ug aain galiyan hi galiyan khule khule maidan gae
jin ke chehre dekh ke dil mein KHushbu si ghul jati thi
dhire dhire is basti se wo sare insan gae
man kitna gahra sagar hai tan kitna uncha parbat
sadhu jab se ginti bhule sanson ke anuman gae
jis din se 'parwaz' zamin par sannaTon ke pahre hain
raj-mahal sab khule paDe hain chhuTTi par darban gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.