baadal jo ek yaad ka chhaya KHushi hui
bādal jo ek yaad kā chhāyā ḳhushī huī
bārish meñ us kī ḳhuub nahāyā ḳhushī huī
hañsnā paḌā vahāñ bhī hai is baat kā malāl
muddat ke baa'd dil jo bhar aayā ḳhushī huī
darpesh mā'raka thā ḳhamoshī kī fauj se
āñkhoñ ne jam ke shor machāyā ḳhushī huī
ik aur kitāb ḳhatm kī phir us ko phaaḌ kar
kāġhaz kā ik jahāz banāyā ḳhushī huī
tum sā ik aur shaḳhs bichhaḌne ke baa'd phir
tum sā ik aur shaḳhs jo paayā ḳhushī huī
apnā ye she'r bhuul chukā thā kabhī kā maiñ
tum ne jo aaj yaad dilāyā ḳhushī huī
baadal jo ek yaad ka chhaya KHushi hui
barish mein us ki KHub nahaya KHushi hui
hansna paDa wahan bhi hai is baat ka malal
muddat ke ba'd dil jo bhar aaya KHushi hui
darpesh ma'raka tha KHamoshi ki fauj se
aankhon ne jam ke shor machaya KHushi hui
ek aur kitab KHatm ki phir us ko phaD kar
kaghaz ka ek jahaz banaya KHushi hui
tum sa ek aur shaKHs bichhaDne ke ba'd phir
tum sa ek aur shaKHs jo paya KHushi hui
apna ye she'r bhul chuka tha kabhi ka main
tum ne jo aaj yaad dilaya KHushi hui
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 87)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.