baadalon ke TukDon mein aasman ka nila-pan
bādaloñ ke TukḌoñ meñ āsmāñ kā nīlā-pan
kaise bhūle sāvan kī rut kā vo rañgīlā-pan
Dhalne vaale haiñ motī chashm-e-nāz se shāyad
saaf kah rahā hai ye putliyoñ kā gīlā-pan
merī baat mat maano dasht meñ nikal jaao
aable batā deñge ḳhaar kā nokīlā-pan
shahd kī miThās aksar hoñT se Tapaktī thī
kis ne us ke lahje meñ bhar diyā kasīlā-pan
kaash itnī vus'at bhī 'ishq ko ḳhudā baḳhshe
jazb kar le āñkhoñ meñ āñsuoñ kā gīlā-pan
aap se mohabbat hai sādgī se kah Daalā
harf harf meñ lekin bhar diyā rasīlā-pan
ab qabā-e-gul shāyad apnā rang bhī badle
sabz sabz pattoñ par aa rahā hai pīlā-pan
baiTh jā.egā ik din zo'm kā mahal 'hairat'
rang lā.egā us ke zarf kā ye sīlā-pan
baadalon ke TukDon mein aasman ka nila-pan
kaise bhule sawan ki rut ka wo rangila-pan
Dhalne wale hain moti chashm-e-naz se shayad
saf kah raha hai ye putliyon ka gila-pan
meri baat mat mano dasht mein nikal jao
aable bata denge KHar ka nokila-pan
shahd ki miThas aksar honT se Tapakti thi
kis ne us ke lahje mein bhar diya kasila-pan
kash itni wus'at bhi 'ishq ko KHuda baKHshe
jazb kar le aankhon mein aansuon ka gila-pan
aap se mohabbat hai sadgi se kah Dala
harf harf mein lekin bhar diya rasila-pan
ab qaba-e-gul shayad apna rang bhi badle
sabz sabz patton par aa raha hai pila-pan
baiTh jaega ek din zo'm ka mahal 'hairat'
rang laega us ke zarf ka ye sila-pan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.