baadalon mein bijliyan kaundin ujala ho gaya
bādaloñ meñ bijliyāñ kauñdīñ ujālā ho gayā
kam-nazar kahne lage uTho saverā ho gayā
Dhalte sūraj kī shuāoñ kā karishma thā ki maiñ
dasht meñ ḳhud apne saa.e se bhī chhoTā ho gayā
pūchhnā chāho to pūchho us se tanhā.ī kā ġham
bhiiḌ meñ rahte hue jo shaḳhs tanhā ho gayā
haa.e vo sadiyāñ jo lamhoñ meñ simaT kar rah ga.iiñ
haa.e vo lamha ki jo sadiyoñ se lambā ho gayā
tīrgī kī jhiil meñ utrā laraztā kāñptā
sub.h-dam sūraj kā chehra aur kaalā ho gayā
aaj terī aañkh meñ aañsū kahāñ se aa ga.e
ai amīr-e-shahr āḳhir ye tujhe ho gayā
baadalon mein bijliyan kaundin ujala ho gaya
kam-nazar kahne lage uTho sawera ho gaya
Dhalte suraj ki shuaon ka karishma tha ki main
dasht mein KHud apne sae se bhi chhoTa ho gaya
puchhna chaho to puchho us se tanhai ka gham
bhiD mein rahte hue jo shaKHs tanha ho gaya
hae wo sadiyan jo lamhon mein simaT kar rah gain
hae wo lamha ki jo sadiyon se lamba ho gaya
tirgi ki jhil mein utra larazta kanpta
subh-dam suraj ka chehra aur kala ho gaya
aaj teri aankh mein aansu kahan se aa gae
ai amir-e-shahr aaKHir ye tujhe ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.