baadalon se TuT barse aaj pani der tak
bādaloñ se TuuT barse aaj paanī der tak
ai ḳhudā us shab rahe ye rut suhānī der tak
jugnuoñ kī raushnī se jhilmilā.eñ rāste
chāñdnī se ham kareñ ye be-īmānī der tak
raat kī rañgīn saḌkeñ bhīge bhīge ye shajar
car ke shīshoñ se jhāñke zindagānī der tak
TūTte bijlī ke TukḌe chāñd taare rūThte
āsmāñ se duur rañg-e-āsmānī der tak
muskurā kar muuñd liiñ āñkheñ 'hinā' ye kyā huā
yaad aa.ī kyā tujhe phir vo kahānī der tak
baadalon se TuT barse aaj pani der tak
ai KHuda us shab rahe ye rut suhani der tak
jugnuon ki raushni se jhilmilaen raste
chandni se hum karen ye be-imani der tak
raat ki rangin saDken bhige bhige ye shajar
car ke shishon se jhanke zindagani der tak
TuTte bijli ke TukDe chand tare ruThte
aasman se dur rang-e-asmani der tak
muskura kar mund lin aankhen 'hina' ye kya hua
yaad aai kya tujhe phir wo kahani der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.