bagh-e-hasti ka sukun-baKHsh asar KHatm hua
bāġh-e-hastī kā sukūñ-baḳhsh asar ḳhatm huā
jis ko kahte haiñ mohabbat kā shajar ḳhatm huā
jis tarah sail-e-balā-ḳhez meñ bastī bah jaa.e
us tarah us kī umīdoñ kā nagar ḳhatm huā
kal ke māyūs añdheroñ pe bahār aa.ī hai
kyoñ yahāñ se mah-e-kāmil kā guzar ḳhatm huā
ḳhaak us ātish-e-sayyāl kī dīvānī hai
jis ko pī pī ke chaTānoñ kā jigar ḳhatm huā
is muqaddar ke jahāñ meñ haiñ 'ajā.ib kitne
dekhiye zer se Takrā ke zabar ḳhatm huā
ham musāfir haiñ safar karte raheñge 'zāhid'
aa ke manzil pe na samjho ki safar ḳhatm huā
bagh-e-hasti ka sukun-baKHsh asar KHatm hua
jis ko kahte hain mohabbat ka shajar KHatm hua
jis tarah sail-e-bala-KHez mein basti bah jae
us tarah us ki umidon ka nagar KHatm hua
kal ke mayus andheron pe bahaar aai hai
kyon yahan se mah-e-kaamil ka guzar KHatm hua
KHak us aatish-e-sayyal ki diwani hai
jis ko pi pi ke chaTanon ka jigar KHatm hua
is muqaddar ke jahan mein hain 'ajaib kitne
dekhiye zer se Takra ke zabar KHatm hua
hum musafir hain safar karte rahenge 'zahid'
aa ke manzil pe na samjho ki safar KHatm hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.